Cupid sms - Romantic sms

A selection of cupid lovely, romantic sms, cute, sweet poetic & friendly texts. To send to close friends & loved ones. Send good morning loves sms, love sms jokes, love poems sms, hate u sms to your soul mates.

Hy masjid main qatal Ghazi ka baba hogaya

Jan 1, 2010 Author: admin | Filed under: Imam Ali (a.s)

Hy masjid main qatal Ghazi ka baba hogaya.

Fatima ki betiyon pay (x2) zulm kaisa hogaya.

1) Josh main aakar farishto say laga kehnay khuda
Saar khula hai Fatima ka ro rahay hai Mustafa
Hashar say pehlay yeh kaisa hashar barpa hogaya.

2) Aagayee pardes main saadaat pay barbaadiyaan
Lut gayee hai koofa main konain ki shahzaadiyaan
Kat gayey sajday main Haider dheen zinda hogaya.

3) Dekh kar baba ko zakhmi ro rahee hain baytiyaan
Arsh pay saaray faarishtay lay rahay hain siskiyaan
Aasmaan hilnay laga nabiyon pay sakta hogaya.

4) Hai abhee Shabbir-o-Shabbar aur alambardaar hai
Ghar hai teray baba ka, kab Shaam ka bazaar hai
Saniyey Zahra tumhaara sir kyun nunga hogaya.

5) Rakh lia jhooli main sir aapka Shabbir nay
Dekh kar baba ko zakhmi yeh kaha dilgeer nay
     Hai koofa main yeh manzar karbala ka hogaya.

Haider ka musalmaan nay jo khoon bhaya hai

Jan 1, 2010 Author: admin | Filed under: Imam Ali (a.s)

Haider ka musalmaan nay jo khoon bhaya hai.

Saar par say yeh zainab kay (x2) hy saaya uthaaya hai.

1) Zarbat ki khabar aaye jis dum dar-e-Haider par (x2)
Zainab nay rida thaamee, baazoo ko chupaaya hai.

2) Karna hai hawaalay jo Shabbir ko Ghazi kay (x2)
Abbas ko Haider nay nazdeek bulaaya hai.

3) Shabbir teray laashay ko kaun uthaayey ga (x2)
Tunay tau yeh baba ka taaboot uthaaya hai.

4) Zainab say koi poochay aye koofay ki shahzaadi (x2)
Kyun baap say martay dum, dhuk khud ko chupaaya hai.

5) Maa ko bhi tumhee ummat nay roka tha ronay say (x2)
Zainab kay bhi ronay par ab pehra lagaaya hai.

Medi sharam di malka di Zainab zara babay naal halah bachri.

Heiwi akhari weyla babay da toray hun ta samnay ah bachra.

1) Bul zarab gaye pehshani di hik daard ruweynday Haider ku aj
Kufay di shahzadi hai kal ayseh karia pa bachri.

2) Bohot mudad kanow wada sikda ha medi naal alawey di medi
Jeray lehjei wich khutbai parsai ukhu lehja ahn suna bachri.

3) Roh pay humsheer dey leyk utay mazloom Ali dai kul bachri jada
Sadh Zainab ku Shah akhiya meku gisnia ahn chuma bachri.

4) Fiza di kand tey saar rakh kay behti owndi apneh babay ku
Iyoh kand da ohla kaiym rawi shala safara wich har ja bachri.

5) Meh janda ha wairi wich wi teku turan da ja joh nai ahnda
Kiwe tursi Shaam di biyr dey wich hosi tang bazaar da ra bachri.

6) Tori Shaam ich baaj rida teku medi gairaat deyk nai sangi
Di Umaal Musaiab eh wada hay teku Shaam ich milsa ah bachri.

7) Nasir jada meyat Ali chumya babay di laash tey jan paiy hai
Shah kafan wichu ro ahda ha lagi dalan sambaal rida bachri.

O Ali chahno walo ki khair

Jan 1, 2010 Author: admin | Filed under: Imam Ali (a.s)

O Ali chahno walo ki khair.

Kher matamo aza ki khair.

1) Ehlishan hyderi bada
Aur kisi na shah ka ziqr kya
Hai Ali ki jo sada
Har mujahide khuda khair.

2) Dil se tum kabhi kaho tu yaa Ali
Aaye ga pasina mushkilo ko bhi
Har bala Ali ke naam se tali
Khair mere ehliya ki khair.

3) Ziqre Panjetan ho basar
Zindagi ki Shaam aur sahar
Ek sada ho lab pe umar bhar
Khair sahibe khita ki khair.

4) Hai hasab nasab Ali ka who
Noor mei dhal khuda ke joo
Faqr hai Khuda ki zaat ko
Issafare kibriya ki khair.

5) Bistare Nabhi pe so gaye
Ho ba ho Rasool ho gaye
Bandagi mei eyse kho gaye
Is Rasool ashana ki khair.

6) Jo Nabhi dhal ban gaya
Apni khud misaal ban gaya
Sahibe kamal ban gaya
Us kamal be pana ki khair.

7) Bas ghame Hussain zindagi hoo
Karbala hamari har khushi mei hoo
Gham yahi hi sari bandage mei hoo
Khair meri is dua ki khair.

8) Apne apne dil ki baat hai
Joo Rehan haq ke saath hai
Us maut bhi hayat hai
Is hayat be khat ki khair.

Mushkil Kusha-e-duniya se ja raha hai

Jan 1, 2010 Author: admin | Filed under: Imam Ali (a.s)

Mushkil Kusha-e-duniya se ja raha hai.

Is wastay falak bhi aansu baha raha hai.

1) Rotay hai pitte hai saar naange hai namaazi
Zakhmi tarap raha hai woh marke ka Ghazi
Khake zaami utha kaar, saar paar laga raha hai.

2) Kaisa situm hai dhaya tunay ibne Muljim
Sibtain ko rolaya tunay ibne Muljim
Ghaam mai Rasool haq bhi, aansu baha raha hai.

3) Bay wariso ka waris jata hai suey janat
Hasnain ko mila hai baba ka dage furkat
Kaisa situm Zamana, Zainab pe dha raha hai.

4) Abbas ro rahe hai Ummul Banin hai muztar
Chehre ko dho rahe hai ashko se bas yeh keh kaar
Dil ko karaar mere, baba nah aaraha hai.

5) Khaali hua zamana mola-e-inso jaase
Kafoor bhi kafn bhi aaya hai aab jinnah se
Ghulse Ali ks paani, kausar se aaraha hai.

6) Saar nange hai payamber aur muztarib hain Zahra
Ghaar se Ali ke payhum utha hai shoor girya
Milne waasi Nabhi se, janat ko jaa raha hai.

7) Binte Rasool aazam girya kuna hai payhum
Ghaam mai Ali ke dooba hai aaj saara aalam
Kufa wasiye haq ka, noha suna raha hai.

8) Pursa kabul kije ya hujjate elahi
Aajaiye ke aab to haar simt hai tabahi
Zeeshan aap ko yaa, mola bola raha hai.

Ya Haider-e-Karrar

Jan 1, 2010 Author: admin | Filed under: Imam Ali (a.s)

Ya Haider-e-karrar.

Jibreel nawha parte hai, mare gaye Ali (x2)
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi

1) Masjid udaas mimbare kufa udaas hai
Tar khoon me khuda ke wali ka libaas hai
Rota hai asmaan zamin ghamse phat gayi.

2) Masjid me rozadar par kaysa sitam huwa
Kabe se aa rahi hai sadaa wa musibata
Ghamse nabi ki kabr bhi ab kaampne lagi.

3) Haay haay yateem Shabbar-o-Shabbir hogaye
Abbas dilko thaamke rote huwe chale
Sarse ridaaye Zainab-o-Kulsum girgayi.

4) Duniya mei bekaso ka sahara nahi raha
Utraa tha jo falak se sitara nahi raha
Arshe bareen pe farshe azaa aaj bichgayi.

5) Maula mera jo khoon me apne naha gaya
Bole farishte haye ye kaisa sitam huwa
Hurrain ye roke kehti thi duniya ujargayi.

6) Zahra lahad me roti hai Haider ke waste
Kehti hai cheyn kabr ke andar nahi muje
Bacho pe mere gham ki ghata aaj chhagayi.

7) Rehan mere saath me rone lagaa kalam
Aankho se mere jaari huwe ayse ashke gham
Chalte huwe kalam ke mere saas rukh gayi.

Uthya jadoo janaza Kufay de vich Ali da

Jan 1, 2010 Author: admin | Filed under: Imam Ali (a.s)

Uthya jadoo janaza Kufay de vich Ali da.

Qayanaat vich hai mataam Ahmad de aj wassi da.

1) Bo ro na baad meray Shabbir teri behn aai
Babay di zindagi vich Zainab karay na vain aai
Kufi na koyi sunlay awaaz meri dhi da.

2) Kad qatla Ali di hy Zainab suni munadi
Yak dam zameen te girgay na hosh ray ridha dhi
Roway Ali ja takya sar nanga apni dhi da.

3) Ghazi na ro sabr kar Haider aai aakhda si
Karbal tu jana bunkay zoray qamar bhira da
Abbas teray bazou nay parda meri dhi da.

4) Kufa aai Karbala nay Zainab tu karlay vain aai
Babay nu rajkay taklay ro akhiya Hussain aai
Meshr nu vekh sai toon chehra Ali wali da.

5) Tanveer saab musalma milkay aai ghum munawo
Sultan-e-auliya da taboot sab uthao
Duniya ton turgaya aai sardar sab wali da.

Baba di laash tai aayaan Batool zaadian

Jan 1, 2010 Author: admin | Filed under: Imam Ali (a.s)

Baba di laash tai aayaan Batool zaadian.

Zainab Kulsoom nu kismat nai (x2) Kariya eeh kee vakhaiya.

1) Allah di zaat nu kitha eh jis nai raazi
Sajdai che kus gaya konain da naamazi
Diya gal lag lag kai rown paiya
Hai ghaam diya sataiya.

2) Vera Batool da lutiya eh musalmana
Dushman kyon ban gaiya sadaat da zamana
Karbal ton pehla Zainab nay
Mitiyah kyon sir che paiya.

3) Dhiya Ali diya maiyat tei rown kaliya
Veeran ton puchdiya naazan diya eh paliya
Sada koun sahara duniya tei
Reiya deindiya duhaiya.

4) Noori vi arsh ton ronday farash tei aagaiy
Mola dai matami ban sarai ambiya gai
Judo rondiya dhiya Zahra nai
Gal laa kai chup kariaya.

5) Taboot tayar kai Hasnain judo chaiya
Aktar eh sain da bakiyai cho vain aiya
Kyon Shaam ton pehla houn gaiya
Sir nangai meriya jaiya.

Hasnain jadon chaa-ya, taboot Murtaza da

Jan 1, 2010 Author: admin | Filed under: Imam Ali (a.s)

Hasnain jadon chaa-ya, taboot Murtaza da.

Roya’n Batool zadian, babay noo’n tor kai
Zahra dai vaih ray ho gaya aghaz Karbala da.

1) Zahar ghazab hai kaira, ai badla lai rahay nai
Hai kalma go ali dai, kio’n vair pai gai nai
Kissay hor tai asee kio’n ilzaam ai lai yay
Kalma goa’n ujaria ghar baar Fatima da.

2) Puchya Ali nai dhee noo’n, keevain rasia’n paa sakay gee
Too’n ghar to’n tur nai sakdi, keevain Shaam ja sakay gee
Keevain mangay gee chadra’n, bhaina’n dai vastay
Khairaiya ho ra hai saang tai wada teri rida da.

3) Nanay dai baad veeran, hai kinj da vaila aaya
Na ambri sadi jag tai, na baap da ai saaya
Nanay dai dais chalee’ain, Kufay nu chor kai
Hath phar kai kee pukaria, hai bhain nai bhiraa da.

4) Is Wastai ai amomin, matam ali da karday
Aj pahlee vaar latkay, saiyadania’n dai parday
Koofai ich koofian nai shamsheer chai laa kai
Waqt-e-namaz marya damaad Mustafa da.

Bhool na pai gi Zahra Kufa walon ki wafa.

Jan 1, 2010 Author: admin | Filed under: Imam Ali (a.s)

Bhool na pai gi Zahra Kufa walon ki wafa.

Door Yasrab sai Ali ki betiyan ho gayi pardes main bay aasra.

1) Waris-e-Tatheer hai roti khari
Aagayee saddat pai mushkil bari
Jis ki zarbat nai bachaya deen ko, us pai hi sajday main khanjar chal gaya.

2) Kis terha bhoolai hammain maah-e-sayaam
Ho gayai hum sai juda haq kai Imam
Apnay qatil ko jaga ker aap hi zarab kah kar bhi usay sharbat diya.

3) Haar main rab jis ka zacha khana bana
Woh nigay bhnai risalat chal basa
Ham agar matam nahi to kya karain iss jahan sai uth gayai shair-e-Khuda.

4) Shah bolai ai Alamdar-e-Hussain
Ai merai Ghazi ai merai dil kai chain
Ja rahan khoon somp ker tuj ko pisar Zainab-o-Kulsoom kai saar ki ridda.

5) Ho gayee barbaad Zahra zadian
Lut gayee konain ki shehzadian
Chup gayai jin kai liyai shams-o-qamar kash unkah kalma goh kertai haya.

6) Bani-e-Islam kah taboot hai
Ashk baar Akhtar her aik malkoot hai
Arsh pai shah ki saffay matam bichi, ho rahi hai khuld main aah-o-buka.


 




Recent Posts


Categories